Dosto! Mere ek dost Muzammil bhai mujhe ye nazm (Poetry) send ki or is ka jawab likhne ko kaha to main ne jawab likhne ki koshish ki hai main ye nazm aap ko send kar raha raha hu phir is ka jawab dusre post me karunga 

Hum sahib e Anaa hain hame tang na kijye 
Magroor bewafa hain hame tang na kijiye 

Hum kon hain kaha hain use bhool jaiye jaise bhi hain jaha bhi hain hame tang na kijiye 

Behtar hai hum se door rahe sahib e kamaal 
Hum sahib e khata hain hame tang na kijiye 

Behtar hai fasle se guzra kare janab 
Muflis hain hum gada hain hame tang na kijiye 

Hum aap ke hain kon hame maaf kijiye 
Hum aap se juda hain hame tang na kijiye 

Hum aap khafa nahi aap jaiye 
Khud hi se hum khafa hain hame tang na kijiye 

Hum hijr ka Wisal hain patjhad ki baas hain hum 
nek bad guma hain hame tang na kijiye 

Sahib e Anaa= ghamand
Sahib e kamaal = Perfect 
Muflis= Gareeb 
Gada = Fakeer 
Hijr = Judai 
Wisal = Milna 

Comments