Ab to dil se utar gaye ho tum 
Ab to nazro se gir gaye ho tum 

Teri soorat se ab to uktaye
Phir bhi kitne sawar gaye ho tum 

Teri raho me mutazir tha main 
Jab ke raho se guzar gaye ho tum 

Nafrato ki abhi ibtida hi thi 
Thodi nafrat se dar gaye ho tum 

Itni nafrat hai ATAAI ko tum se 
Is ne mana hai mar gaye ho tum 

Muntazir = Intezar karna 
Ibtida = Shuruat, beginning 

Comments