Seher aamez hai jalwa tera
Bahot shireen hai lehja tera

Nazuk si hai lab o Rukhsar tere
Dil kash o dil nasheen hai har ada tera

Mai kash bana diya tumhare khumar ne
La jawab o dil fareb hai mai kada tera

Nigahe ibtidai se ho gaye aashiq
Bahot zalim hai nigah e ibtida tera

ATAAI bhoolta hai teri har khatao ko
Bahot pur kaif hai dil bar har khata tera

Seher aamez = Jadoo wala
Shireen = Meetha
Rukhsar = Gaal
Mai kash = Sharabi
Khumar = Nasha
Mai kada = Sharab khana
Nigahe ibtida = Pehli nazar

Comments