Saqi tere sharab ki khumari na gayi 
Labo se lab lagane ki bimari na gayi

Teri tareef me Saqi mukammal ho gaye alfaz 
Magar Lafzo ko ginne me shumari na gayi 

Teri diwangi me aql bhi zaaye hua aisa 
Ke bigdi aql ko dobara sudhari na gayi

Meri nazro ne jab dekha tere zulfo ko lehrate 
Meri nazro me zulfo ko sanwari na gayi 

ATAAI mast hai har waqt bas un ke jalwo me 
Ke jin ke jalwo se ab tak huzuri na gayi 

Saqi= Sharab pilane wala/wali 
Khumari = Nasha
Mukammal= Complete, end 
Shumari = Ginti
Zaaye = Barbad
Huzuri = Samne hona, means un ke jalwe har waqt samne hazir rehta hai 

Comments