Zalim ke hath jabr par maamoor ho gaye 
Jo kuch bacha hua tha nasoor ho gaye 

Zulm o Jabar ki aag me gul ho gaye chirag 
Tiflan e sham dakhil e quboor ho gaye 

Zulm o sitam ki aandhiya aisi chali ke sab 
Khatoon e ahle sham gum se choor ho gaye 

Dekha jo ahle sham ko rote bilakte mola 
Ashko se meri aankhe bhi makhmoor ho gaye 

Sab ahle sham ke liye dua go hai ATAAI 
Ameen keh ke ye bhi ranjoor ho gaye 

Maamoor = kisi kam par lagaya gaya, means Zulm ke liye Khuda ki taraf se zalim ko lagaya gaya 
Nasoor = Zakhm 
Tiflan e sham= Syria ke bachche, Syria ko urdu or arabi me sham kehte hain 
Quboor = Qabar, plural word for grave in urdu 
Khatoon e ahle sham = Syria ki orte 
Makhmoor = Nashe se choor, yaha pe maani hai aansu se aankho ka bhar jana 
Dua go= Dua karna 
Ranjoor = Gum se Nidhal 

Comments