Pyaas ka dard naak manzar tha 
Ek sehra jo ke banjar tha 

Jis pe maail hua ye dil 
Wo faqat ek sitam gar tha 

Jin nigaahon se main mutasir tha 
Un ke hatho me ek khanjar tha 

Hum samjhte rahe jise dushman e jaan 
Dar haqeeqat wo ek rehbar tha 

Wo bhi tanha gaya zamaane se 
Jo zamaane me bana sikandar tha 

Us ne zulmo ki inteha kar di
Husn e akhlaq jis ke andar tha 

ATAAI bhi gam chupane lage 
Aankh sehra teri dil samundar tha 

Sehra = Registan
Maail = Jis par dil aaya 
Faqat = sirf 
Sitam gar = zalim 
Mutasir = Impress hona 
Rehbar = Raah dikhane wala 
Husn e akhlaq = Good manner 

Comments