Meri nigahe Naaz me teri har ada sharab 
Chahat me jo mila mujhe wo jafa sharab 

Aankhen jo hain teri maanind sadaf ke 
Lagta hai aise jaise ho teri nigah sharab 

Zulfo me teri hain ajab sa khumar dilbar 
Zulfo se teri zahir hai har ghata sharab 

Honto ko tere kya kahu koi phool ho gulab 
Phoolo me hai nasha teri lab kusha sharab 

Abru ko tere dekh kar aata qamar ki yaad 
Abru jo tere kham hain poshida hai sharab

Pazaib ki khanak me milta hai ek suroor 
Aye jane man gazab hai tera chalan sharab 

Peena to chahta hai ATAAI tera sharab 
Lekin rawa nahi hai khuda ki panah sharab 

Nigahe Naaz= mohabbat ki nazar
Jafa = Be wafai 
Manind Sadaf = Moti jaisi 
Khumar = Nasha 
Lab Kusha = Bat karna 
Qamar = Chand,  moon
Kham = Jhuki hui 
Poshida = Chupa hua 
Pazaib= Payal 
Rawa = Jaiz 

Comments