Saqi the jo kal tak wahi mai khana hua
Jo pyar me be hisab tha wahi paimana hua 

Ab haal-e-dil apna kise sunaye sahab
Jise apna samajhte the wahi begana hua 

Wo jis ki dosti par Naaz karte the Zamane me 
Ab un ki dosti bhi faqat ek afsana hua 

Wo ahle dil jo sath detha tha kabhi sehrao me 
Wo meri zaat par ab to dasht e Zamana hua 

ATAAI dost hote nahi kabhi Dushman e jaan
Ye waqt ki bat hai ke dushmani bahana hua

Saqi = Sharab pilane wala 
Mai Kahana = Sharab ki dukan 
Paimana = Napne wala 
Afsana = Kahani, story 
Sehra = Registan 
Dasht = Registan

Comments