Dosto! Ye nazm main ne Molana  Riyaz Ahmed Razvi sahab ki farmaish par likha hai. Is ka pehla sher (starting ki 2 line) kisi or shayar ki likhi hui hai. 

Manzil se aage badh ke manzil talashne kar 
Mil jaye tujh ko darya to samandar talash kar 

Rehzan milenge tujh ko har mod par yakeenan
Jo rah e haq bataye wo rehbar talash kar 

Zahir to hai sanwarta insan ka  aayine me 
Batin ko jo sanware wo sheesha talash kar 

Bugz o hasad se bharpur har shakhs ka hai seena 
Jis me khuda basa ho wo seena talash kar 

Dunya ke gam se khud ko gaafil na kar ATAAI 
Dunya ke gam bhula de wo gam talash kar 

Rehzan = Lutera, daku 
Rehbar = Rah batane wala 
Batin = Dil ki haalat 
Bugz = Dushmani 
Hasad = Jalan 
Gafil = La parwah 

Comments