Tujh se mujhe kehna hai ek baat mukammal 
Tere wajood se hai meri zaat mukammal 

Guzre huwe maazi me to aayi kabhi na tu 
Ab haal me to aa kar mere haalat mukammal 

Sajdo me bhi tumhi nazar aate ho be hijab 
Mumkin nahi ke ab ho ibadaat mukammal 

Jab tak na lau fikr me tere khayal ko 
Hota nahi kabhi bhi khayalat mukammal 

Aansu chhalak rahe hain tere hijr o firak me 
Tujh se jude hain mere jazbaat mukammal 

Har rat tere hijr me jaaga hai ATAAI
Tere gamo ke sath hai sabhi rat mukammal 

Mukammal = Complete 
Maazi = Past 
Haal = Present 
Be Hijab = Be  
Hijr = Judai 
Firak = Gum 

Comments