Sahil e darya pe jo baitha main ek sham
Dekha gurub e shams ko aankho se main Tamam 

Surkhi thi aise chhai jaise ho koi gend 
Dekhe se lag raha tha wo koi lala o gulfam 

Us ki chamak damak bhi kafoor ho chali thi 
Suraj ka husn us waqt Zahir hua Tamam 

Wo doobne laga jab magrib ki samt yaaro 
Us se liya Sabaq main jo us ka hua Anjam

Insan bhi urooj par jata hai phir magar 
Waqt e zawaal us ka mit ta hai aise naam

Suraj ye doob kar bhi Kehta raha ATAAI
Ye silala e gurub se lelo tum ab Paigam 

Gurub e shams = Sunset 
Surkhi = Lali, Orange color 
Gend = Ball 
Lala = Ek Orange color ka Phool 
Gulfam = Phoolo jaisa dikhne wala 
Kafoor = Gaib hona, khatam hona 
Magrib = West 
Urooj = Taraqqi, bulandi 
Zawaal = Nakami 

Comments