Teri kismat me shayad likhi sirf  judai hai 
Do jahan ke bheed se behter teri tanhai hai 

Chahiye tabeer tujhe har rat ke khwaabo ki 
Khwaab to khwaab hai us me faqat raanai hai 

Khwaab bhi dekhega jabhi neend jab aaye tujhe 
Neend to neend kab chain tujhe aayi hai 

Ab kis ke jalwo ke mutazir ho tum 
Wo ek jalwa Numa jo ke tamashai hai 

Apni kismat se gila na karna aye ATAAI chhodo 
Ho gayi jis se mohabbat tujh ko wo to harjai hai 

Tabeer = Khwaab ka natija 
Faqat = Sirf 
Raanai = Sajawat, Numaish 
Muntazir = Intezar 
Jalwa Numa = Jis ka deedar kiya jaye
Tamashai = Tamasha dekhne wala 

Comments