Dosto! Abhi kuch din pehle Pakistan ke shaher Qiswar me ek 6 years old bachi ke sath bahot hi zyada darindagi ka maamla samne aaya us ladki ka naam Zainab hai. Us ke insaf ke liye pura Pakistan hukumat ki mukhalifat (protest) kar raha hai. Main ne Zainab ki taaziyat ke liye nazm(Poetry) likhi hai 

Chehra dekho us ka wo hai pyari zainab 
Nanhi si mushkbaar Phool ki kyari zainab 
Aaj utha hai pur zor janaza us ka 
Log kehne lage us ko hai ye hamari zainab 
Chheen kar maa ke aanchal se lahu ka qatra 
Dhaya zulm tujh pe or chala tujh pe aari Zainab 
Ek wehshi ne kiya hai qatl ek bachi ka 
Aah dard ko sehti rahi masoom Bechari zainab
Tere maa baap haram e kaaba me rote rahe 
Par rehem aaya na kisi ko aye gam khwari zainab 
Ek arse me huye hain Barah jane maqtool 
Ek arse me gayi hai jaan kitni maari Zainab 
Ahle makka jo kiya karte the Barso pehle 
Ab to is mulk me hui aagaz ye bimari zainab 
Ye ATAAI bhi tere gum se afsurda hai
Dard tera hai is ke liye bahot bhari zainab 

Comments