Mere mehboob ko dekho hui hai shadma(n) mujh se
Jo dil me raaz tha us ke kiya hai wo baya(n) mujh se 

Palat kar aa gayi dekho wo apni har ada ke sath 
Mere mehboob ki ulfat hui hai phir jawa(n) mujh se 

Halawat tere lafzo ki kiya mad Hosh kuch aisa 
Meri hi zaat ko dekho hui ab be nisha(n) mujh se 

Teri tareef me koi qaseeda main jo likhta hu 
Qalam ko cheen lete hain ye ahle jaha(n) mujh se 

Tadap kar choom leta tha teri tasveer ko dilbar 
Mere ab samne ho tum gayi hai Hosh o jaa(n) mujh se 

Tamasha roz hota tha wafao ka jafao ka 
Mila hai pyar to dekho na jane ab kaha(n) mujh se

Mere ek dost ne dekha to keh utha bagawat se 
ATAAI us ki chahat me huye ho be guma(n) mujh se 

(N) = N silent hai is ki awaz ko naak se padho jaise bayan = बयां
Shadman = khush, ulfat =mohabbat 
Halawat = mithas, qaseeda = a poetry which is written for prince or princess, ek aisi Kavita jo kisi Raja ya Rani ke liye likha jata hai 
Jafa= be wafai, bagawat= Dushmani 

Comments