Jab apni pichli mohabbat ko hum ne yaad kiya 
Usi ke gum se khud ko hum ne ashkbar kiya 

Nigahe shoq dekha karte the Palat Palat ke Jinhe 
Dil o dimag par usi ke yaad ko hum ne sawar kiya 

Wo jin ki gori rangat dilo ko qarar deta tha 
Usi ke chehre se khud ko hum ne be qarar kiya 

Wo jo ke bandha karte the apni zulfo ko kabhi 
Usi ke zulf e muambar ne hum ko  mushk baar kiya 

Wo jis ke Rukhsar par barishe tapakti thi 
Tere dil ko ATAAI un barisho ne sang saar kiya 

Ashkbar = Rona
Zulf e muambar = Khushboo wali zulfe
Rukhsar = Gaal 
Sang saar = Patthar barsana

Comments