Hum ne gardish e ayyam ke mehwar dekhe 
Yaani logo ke badalte hue tewar dekhe 

Tere mukhde pe bahot likhi hai gazle hum ne 
Ab to likhne ke liye khas tere zewar dekhe 

Jo dilate the kabhi apne lafzo pe yakeen 
Un ke lafzo ko badalte hue aksar dekhe

Log kehte the kabhi mujh ko bade aashiq ho 
Ab jo dekha zamaane me mujh se bhi bartar dekhe 

Apni hasti ki bulandi o taraqqi ke liye 
Hum ne khud ke waste ek rehbar dekhe 

Is ATAAI ko nahi itni fursat aye mehboob 
Ke tere lehrate hue zulfo ke asar  dekhe 

Gardish e ayyam = Bure din 
Mehwar = Ghoom ne wali koi cheez 
Means bure dino ka ghoomna 
Bartar = Bada 

Comments