Zakhm taza mera hua jaa raha hai 
Wo jab samne se nazar aa raha hai

Wo nazre mila ke nazar pherti hai 
Aye meri nigah tu kaha jaa raha hai

Aye meri nigah na dekh ab use tu 
Use dekh kar tu kyu lalcha raha hai

Use bhoolna hi mukaddar hai tera
Kyu apne hi takdeer ko jhutla Raha hai 

Fana ab na hona ATAAI tu ishq me 
Tera Ishq ab to tujhe kha raha hai 

Comments