Tu husn me Jamal hai

Tu husn me Jamal hai mera ishq be misal hai 
Teri har ada bakamal hai meri sadgi bhi dhamal hai 
Tera shoq bhi hai bada ajab ke lut gaye hain usi se sab 
Dil todna hai tera junu mera sabr la zawaal hai 
Tujhe chahna mera ishq hai mujhe rokna tera shoq hai 
Tujhe na milu ye dua karo ye dua bhi tera mahaal hai 
Teri justaju me subah hui teri aarzu me sahar gayi 
Ke na Khatm ho meri khwahishe mujhe is ka ranj o malal hai 
Mere dil ki yahi aarzu tu rahe sada mere rubaru 
Tujhe dekhta hi rahu sada mera bas yahi khayal hai 
Tu na fir kahi kisi or sang mera dil jale Aye mere sanam 
Ye ATAAI ko hai na pasand isi bat ka to jalal hai 
Jamal= khoobsoorat, bakamal= completely perfect, junu(junun) = pagalpan, la zawaal= kabhi na khatam hone wala, mahaal= na mumkin impossible, justaju =khwahish sahar= rat, Ranj o Malal= gam or afsos, Rubaru= samne jalal= gussa 

Comments