Haye meri nind gayi

Bina soche samjhe hi main ne tum se pyar kiya 
Or tumne badi aasani se us pyar ka inkar kiya 
Dil o dimag me basa li thi main ne surat teri 
Bahot soch samajh kar phir main ne izhar kiya 
Meri rato ki nind chain sab kuch to le liya tu ne 
Bas ek dil hi tha Jise lene se tu inkar kiya 
Tere inkar se dil jo tuta so tuta magar janam 
Samne Aayine ke main khud hi se takrar kiya 
Bahot rulate ho ATAAI ko ishq me aye dil ruba 
Kafe afsos phir na kehna kyu main ne inkar kiya 
Kafe afsos= afsos ke sath hath malna 

Comments