Dil ka dard

Patthar ko kya pata dil ka dhadakna kya hai 
Kanto ko kya pata mohabbat me tadapna kya hai 
Yu to phoolo se aati hai be inteha khushboo
Phoolo ko kya pata aag me jalna kya hai 
Har subah har sham tere intezar me kat ti hai 
Suraj ko kya pata ke ishq me dhalna kya hai 
Barish me bheege tere deedar ki talab ke liye 
Barish ko kya pata barish me ubalna kya hai
Mat ro ishq me ATAAI ab us be wafa ke liye 
Us be wafa ko kya pata Judai me sulagna kya hai 

Comments