Kabhi us ko bulaya to wo mere paas na aayi 
Main chup baitha raha lekin sharafat raas na aayi 
Baharo ka zamaana tha hawao ne kiya bad mast 
Magar ji kyu nahi bharta hawa kuch khas na aayi 
Wafa kar ke dikhaya hu magar madde maqabil ne 
Mere jazbat se khela use ehsaas na aayi 
Khudi ko kar diya gumrah khudi se be khudi paayi
Khuda ko bhool kar pyare Khuda ki aas na aayi 
Bahot majboor karte mohabbat se dagaa wale 
Ke khanjar sath rakhte hain magar to yaas na aayi 
Mohabbat tu na karna ab ATAAI to  bahot Achha 
Mohabbat jo kiya tune khushi ab pass na aayi 
Madde maqabil = samne wala 
Yaas = Dar ( Arabic word) reference : Fairozul Lughat

Comments