Mujhe tum se nafrat bhi nahi ki jati mohabbat kya khak karte 
Dikha sakta mohabbat ko apne dil me to seena chak karte 
Teri diwangi me ishq karta raha main apni nazro se 
Agar main be haya hota to mohabbat napak karte 
Main apni sadgi me dil lagi karta raha tujh se 
Na hota seedha sada to khud ko bahot chalak karte 
Teri izzat o takreem ki khatir main chup raha warna 
Tere mazi ke pehlu par sawal hum be baak karte 
ATAAI mil hi jata tujhe rutba wilayat ka sayadat ka 
Magar Aye kash ke tum mohabbat e nabi e paak karte 
Chak = Katna, kholna 
Takreem= ehtiram, izzat 
Mazi= past  wilayat(wali) = Allah ka mehboob banda hona 
Shayadat = leader ship 

Comments