Wo dard jo tum se mila hai wo sada yaad rahega 
Wo Naaz wo Andaz wo nakhre wo ada yaad rahega 
Bekar hi pala tha mohabbat ke jhamelo pe jhamela 
Bekar mohabbat ke jhamelo ki saza yaad rahega 
Jo lutf uthate the mohabbat se qabl az 
Maazi me uthaya gaya wo maza yaad rahega 
Tere haseen zulfo ki shokhi bhi thi ajab 
Teri pyari pyari zulfo ki wo ghata yaad rahega 
Ankhe jo pherte the mohabbat me Idhar udhar 
Nargis si aankho ki wo haya yaad rahega 
Bekar tadapta tha mohabbat me ATAAI ab to 
Guzre huye lamho ki wo khata yaad rahega 
Lutf = maza qabl az = pehle, before 
Maazi = past shokhi = Masti 
Nargis = ek aisa Phool jo insani aankh jaisa dikhta hai 

Comments