Chand lafzo me dard mere Sama gaye 
Chand yaado me purane zakhm aa gaye 
Wo dard jo be wajeh mila tha mujhe 
Unhi ki soch ne wo dard phir badha gaye 
Wo jo na aa sake kabhi zindagi ban kar 
Unhi ka gam dil o dimag pe ab chha gaye 
Wo jo ke parde uthate the jhalak dikhane ko 
Unhi ke aankh pe parde nafrato ke aa gaye 
Wo jo khayal me Darya ki mauj banta tha 
Unhi ke mauj e rawani me hum Tira gaye 
Wo jis ko ATAAI mohabbato se takta tha 
Wo khud hi nafrato ke aag ab laga gaye 
Mauj e rawani = samandar ki leher 
Tira gaye = tair gaye 

Comments