Jo gam ko chhupa ke baitha hai us fard ka aalam kya hoga
Jo dard mila mehboob se hai us dard ka aalam kya hoga
Jo raaz chhupayi thi sab se jo raaz ke dil me chubhta hai
Jo raaz badha de be chaini us raaz ka aalam kya hoga
Jo jeet ke sab kuch haara hai mehboob pe sab kuch wara hai
Mehboob hua hai khush lekin us haar ka aalam kya hoga
Mehboob ki aankho ke kajal jo dil me basa kar rakhta tha
Kajal ki siyahi ashk bani us ashk ka aalam kya hoga
Jis rat ke tum to jaage the mehboob ki yaad to aate the
Jis rat ne tum ko tadapya us rat ka aalam kya hoga
Hai dard ATAAI seene me lafzo me sajao us ko tum
Jab lafz bane ash'aar to phir ash'aar ka aalam kya hoga
Ash'shar= plural word for shayari 

Comments