Suni jab asliyat us ki mohabbat me jalal aaya 
Hua kirdar jab Zahir mujhe khud pe malal aaya 
Tere masoom chehre se hata jab husn ka parda 
Mohalle me mere dekho adawat ka bawal aaya 
Agar main chahta to chhomta tere honto ko 
Magar mujh ko to bas teri izzat ka khayal aaya 
Wafa karna to tha mushkil magar phir bhi Kiya main ne 
Palat ke mujh pe hi dekho wafao ka sawal aaya 
Tere lafzo ki talkhi se mujhe gussa bahot aaya 
Magar phir teri yaado se mohabbat me jamal aaya 
ATAAI hui jab se mohabbat tujh ko  Zohra se 
Mila hai be sukooni or kaha phir ab Nihal aaya 
Jalal = Gussa  Kirdar = character 
Malal= Afsos, sharmindagi 
Adawat= Dushmani  Talkhi= Rude language  Jamal = Khoobsoorat yaha par pyaar ke maani me use kiya hu  Nihal = khushi 

Comments