Ek achi seekh

Ye jo rehal hai jis pe quran rakha jata hai 
Allah ke kalam ko bish shan rakha jata hai 
Yu hi nahi payi ye rutba e aali is ne 
Bahot sitam sahe be wajeh khali is ne 
Is ko kata gaya hai bahot aaro se
Tab sajaya gaya quran ke paro se 
Is ne har dard ko bade shoq se jhela 
Apni qismat se har bar is ne khela 
Shikwa na kiya kabhi apne gham ki
Parwah na kiya kabhi apne dam ki
Us ne Allah ki khatir di jaan apni 
Tab kahi paayi hai wo maqam apni
Us ne insano ko sikhaya hai khamosh wafa 
Jo bahot karte hain apne hi rab se jafa 
Gar tujhe pana hai ek acha maqam 
Apni hasti ko mita de aye insan 
Apne rab ki tu is kadar ita'at to kar 
Us ke har hukm ko sahi se baja laya kar 
Us ki har awaz par labbaik kehna 
Apne har uzwu ko be aib karna 
Ye ATAAI to nahi koi hasti mola 
Is ke har sher me de masti mola 

Comments