Ramooze zindagi

Ramooze zindagi samjha nahi ab tak 
Khuda ki bandagi samjha nahi ab tak 
Talaash e haq me main bhatka kaha kaha 
Magar Haqeeqat e haq samjha nahi ab tak 
Khuda ki maarfat ko asl me pa liya us ne 
Ahle dunya ne jise samjha nahi ab tak 
Wisal e yaar me jo fana ho na saka 
Dar Haqeeqat yaar ko samjha nahi ab tak 
Be khudi jab tak na aaye ishq me ATAAI 
Lazzate ishq ko tu ne  samjha nahi ab tak 


Comments