Islamiyat

Hai be panah teri azmat mere Gareeb Nawaz 
Bayan ho kaise teri rifat mere Gareeb Nawaz 

Karam karo mere aaqa karo mujh par
Karam ki ab ho inanayat mere Gareeb Nawaz 

Padhaya kalma e tauheed hazaro lakho ko 
Shukar guzar hai millat mere Gareeb Nawaz 

Adoo jo leke chala tha khanjar e khunkhar 
Mili hai us ko hidayat mere Gareeb Nawaz 

Teri nigah e asar se hue seher bhi zer 
Hua hai jogi nadamat mere Gareeb Nawaz 

Tere hi izn se kooza bhara hai sagar ka 
Ajab hai teri karamat mere Gareeb Nawaz 

Tere lehed ki ziyarat ho ab ATAAI ko 
Mile ise ye sa'adat mere Gareeb Nawaz 

Azmat= Greatness 
Rifat = Shaan 
Aaqa= Lord, Malik 
Inanayat = Meherbani 
Millat = Community 
Adoo = Dushman 
Seher = Jadoo 
Zer = Haar jaana 
Nadamat = Sharminda 
Izn = Hukum, order 
Kooza = Pyali, katori 
Karamt =Miracle 
Lehed = the holy shrine, mazaar

Comments