Abhi tak yaad hai mujh ko
Tere wo eid ke kapde
Jo mera dil lubhati thi
Teri aankhon ke wo kajal
Ke jis pe dil hua maail
Tere pairo ke wo payal
Ke jis se main hua Pagal
Tere maathe ka wo jhumar
Ke jis ne kar diya ghayal
Tumhare naak ki nathni
Ke jis se dil pighalta tha
Machalta tha tadapta tha
Tumhare kaan ki baali
Nazar jis par ruki rehti
Jhuki rehti padi rehti
Teri aankhon ke wo chashme
Badhata husn jo tera
Tere chashme se hi aksar
Nazar apni milata tha
Nazar us par jamata tha
Phir us par muskurata tha
Abhi tak yaad hai mujh ko
Teri zulfo ka lehrana
Wo zulfe jo ke naagin thi
Mere Dil ko dasaa karti
Unhe zulfo ne aye Jaana
Banaya mujh ko Diwana
Tera wo samne aana
Mubarak eid ki kehna
Labo se muskurana or
Mere Dil ko lubha dena
Mujhe khud se bhula dena
Mere darwaze pe aana
Badhakar apne haatho se
Sewai or dhudh ka dena
Abhi tak yaad hai mujh ko
Tere wo eid ke kapde
Comments