Qaum e Muslim se ye kehti hai zaban e karbala
Dars haqq ka de rahi hai dastaan e karbala
Tum se nisbat hai hamari dostan e karbala
Bil yaqee(n) jayenge dozakh dushmanaan e karbala
Hosla, Himmat, jawa (n) Mardi shuja'at dekhiye
Jaa(n) nisari kar rahe hain sab jawan e karbala
Bil yaqee (n) afsos Paani ko rahega hashr tak
Tere lab ko chhu na paya tishnagaan e karbala
Nanhe Asgar ko na bakhsha Zalimo ke zulm ne
Laanate tum par sada ho dushmanaan e karbala
Haqq ki khatir jaa(n) luta kar deen ko bakhshi jila
Wo bahattar hastiya(n) thi paasbaan e karbala
Ek taraf zalim ka lashkar ek taraf aal e nabi
Beech kaanto ke khila hai bostaan e karbala
Nanhe Asgar ka ladakpan or Akbar ka shabab
Loot li hai ek khiza(n) ne gulsitaan e karbala
Apni iffat ki hifazat khud hi tum karti rahi
Tum pe ho lakho salam aye banowan e karbala
Tu Ataai jannati Maa Baap tere jannati
Hai Tera sara gharana midh e khwan e karbala
Dars = sabaq, lesson
Nisbat = Taaluk, Rishta
Shuja'at = Bahaduri
Jaa(n) nisari = Jaan Qurban
Tishnagaan = pyase log
Jila = Zindagi
Bostaan = chaman, bageecha, garden
Banowan = Aurte, ladies
Midh khwan = Tareef karne wala
Comments