Jo bhi diwana Kabhi Roza e Anwar dekhe ﷺ
Auj par jate huwe apna mukaddar dekhe
Jis ke dil me hai Tamannaye Madeena Har pal
Wo tassawwur Madina ko bhi ghar par dekhe
Tum Ne Hatim ki sakhawat ka suna hai charcha
Hum ne Aaqa ki sakhawat ke samundar dekhe ﷺ
Jis ko sarkar ﷺ ke darbar se milti hai bheek
Rashk se us ko zamane ka Sikandar dekhe
Jis ko dunya me hi jannat ka Nagar dekhna ho
Jaake Taiba me kabhi Roza e Anwar dekhe ﷺ
Bazm e Hassaan se sajti thi nabi ﷺ ki Mehfil رضی اللہ عنہ
Sab ne darbar e Risalat ke sukhanwar dekhe ﷺ
Bu Huraira ko Ataa hifz ki dolat jo huwi رضی اللہ عنہ
Tazkire un ki riwayaat me aksar dekhe
Hai ATAAI ki bhi khwahish ke Ilahi ab to
*Shehre Taiba me wo Firdaus Ke manzar dekhe*
Roza e Anwar = Hazrat Mohammed ﷺ ka mazar
Auj = Bulandi
Bazm = Mehfil
Hassaan = Ek sahabi (companion of prophet Mohammed ﷺ) ka naam hai jo shayar the Hazrat Mohammed ﷺ ki tareef me naat likha karte the... Yaani Hazrat Mohammed ﷺ ki tareef me shayari likhte the
Sukhanwar = Shayar
Bu Huraira = Abu Huraira رضی اللہ عنہ ye bhi sahabi hain or pyare aaqa Hazrat Mohammed ﷺ ne in ko hifz ( memory power ) ataa farmaye.... Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ ki yad dasht bahot kamzor thi.. To aap ne Allah ke nabi ﷺ ko bataya to Aaqa ﷺ un ko ataa farmaya..
Tazkire un ki riyawat me aksar dekhe... Yani jab un ko Allah ke nabi ﷺ ne yad dasht ka tohfa ataa farmaya to us ke bad un ki memory power itni strong hi gayi ke sab se zyada hadees unhone ne hi Bayan Kiya Hai.
Firdaus = Jannat ke ek bagiche (garden) ka naam hai...
Comments