Meri yaado ke Dilruba tum ho
Mere khwaabon ke rehnuma tum ho
Main ne manga hai apne rab se jo
Meri dunya meri dua tum ho
Lafz likhta hu jo bhi gazlo me
Mere lafzo ki wo ada tum ho
Kaif milta hai tujh ko dekhe se
Meri Ankho ke ha ziya tum ho
Tujh mujh se to kuch nahi matlab
Mere matlab ki ek ghata tum ho
Jis ko socha hu Dasht e ulfat me
Dasht e ulfat ki wo wafa tum ho
Main ne chaha hai tujh ko majnu sa
Mere Mehmil ki laaila tum ho
Ye ATAAI bhi ek mujrim hai
Jis ki har ek ab khata tum ho
Rehnuma= Raah batane wala
Kaif= Maza, sukoon
Ziya = Roshni
Ghata = Badal
Dasht e ulfat = mohabbat ka registaan
Mehmil = Doli, Palki
Comments