Kashmir ki thi nanhi si ek jaan Asifa
Zalim ke hatho hui thi pareshan Asifa
Phool si kali ko sataya hai be hisab
Darinda tha bil yaqeen wo insan Asifa
Apni anaa ki khatir tujh pe kiya sitam
Insan ki surat me tha haiwan Asifa
Nafrat ki siyasat me sataye gaye ho tum
Nafrat me mar rahe hain hindu musalman Asifa
Nafrat ki siyasat me jhulasta raha he mulk
Nafrat me bat gaya ye mulk Hindustan Asifa
Shamil hai tere gam me ATAAI bhi Asifa
Tere hi gam se ye hai pasheman Asifa
Anaa = Ghamand, Gurur
Pasheman = Afsos karna
Zalim ke hatho hui thi pareshan Asifa
Phool si kali ko sataya hai be hisab
Darinda tha bil yaqeen wo insan Asifa
Apni anaa ki khatir tujh pe kiya sitam
Insan ki surat me tha haiwan Asifa
Nafrat ki siyasat me sataye gaye ho tum
Nafrat me mar rahe hain hindu musalman Asifa
Nafrat ki siyasat me jhulasta raha he mulk
Nafrat me bat gaya ye mulk Hindustan Asifa
Shamil hai tere gam me ATAAI bhi Asifa
Tere hi gam se ye hai pasheman Asifa
Anaa = Ghamand, Gurur
Pasheman = Afsos karna
Comments