Dosto! Ye nazm main ne Molana Riyaz Ahmed Razvi sahab ki farmaish par likha hai. Is ka pehla sher (starting ki 2 line) kisi or shayar ki likhi hui hai.
Mil jaye tujh ko darya to samandar talash kar
Rehzan milenge tujh ko har mod par yakeenan
Jo rah e haq bataye wo rehbar talash kar
Zahir to hai sanwarta insan ka aayine me
Batin ko jo sanware wo sheesha talash kar
Bugz o hasad se bharpur har shakhs ka hai seena
Jis me khuda basa ho wo seena talash kar
Dunya ke gam se khud ko gaafil na kar ATAAI
Dunya ke gam bhula de wo gam talash kar
Rehzan = Lutera, daku
Rehbar = Rah batane wala
Batin = Dil ki haalat
Bugz = Dushmani
Hasad = Jalan
Gafil = La parwah
Manzil se aage badh ke manzil talashne kar

Comments