Chhupa ke rakha hai tune sharab aankho me
Ajab khumar hai dilbar teri shabab aankho me
Jhuki hui hai palke or nazre haya se teri
Ye aisa lagta hai jaise ho hijab aankho me
Ye husn sara simat gaya hai teri nazro me
Simat gaya ho jaise gulshan gulab aankho me
Sawal e ishq main karta raha hu arse se
Or ab mila hai mujh ko jawab aankho me
ATAAI likhne laga gazal tu un ki aankho par
Magar mila hai har Lafz janab aankho me
Shabab= Jawani
Khumar = Nasha
Haya = Sharam
Hijab = Parda
Gulshan = Garden
Gazal = Wo shayari jo kisi orat ke liye likhi jati hai

Comments