Dil e shikasta se wabista hai ash'aar mera
Sare jahan ke gamo ka khazina hai pyaar mera
Ke jis ke seene me dil hai magar patthar sa
Wo ek haseen si surat hai dilbar o dildar mera
Wo jis ki yaado ki hukumat hai aaj bhi dil par
Bada hi ba zoq hukmaran hai dekho yaar mera
Jo thehra qafila apna mohabbato ke sehra me
Bahot junoon me aaya phir qafila salar mera
ATAAI doob kar bola mohabbato ke darya me
Mujhe to lekar hi Dooba hai yaaro pyar mera
Dil e shikasta = Toota hua dil
Wabista = Juda hua ( join)
Ash'aar = Shayari
Khazina = Khazana
Ba zoq = Shoq wala
Hukmaran = Hukumat karne wala

Comments