Suni jab asliyat us ki mohabbat me jalal aaya
Hua kirdar jab Zahir mujhe khud pe malal aaya
Tere masoom chehre se hata jab husn ka parda
Mohalle me mere dekho adawat ka bawal aaya
Agar main chahta to chhomta tere honto ko
Magar mujh ko to bas teri izzat ka khayal aaya
Wafa karna to tha mushkil magar phir bhi Kiya main ne
Palat ke mujh pe hi dekho wafao ka sawal aaya
Tere lafzo ki talkhi se mujhe gussa bahot aaya
Magar phir teri yaado se mohabbat me jamal aaya
ATAAI hui jab se mohabbat tujh ko Zohra se
Mila hai be sukooni or kaha phir ab Nihal aaya
Jalal = Gussa Kirdar = character
Malal= Afsos, sharmindagi
Adawat= Dushmani Talkhi= Rude language Jamal = Khoobsoorat yaha par pyaar ke maani me use kiya hu Nihal = khushi

Comments